DEV Community

Cover image for Golang in Hinglish
csm
csm

Posted on

Golang in Hinglish

A simple tutorial series on go in Hinglish.
Jitna mujhe aata hai utna, aur zyada tar mere notes se!

Note: Me non-native speaker hu to spelling mistakes to honge, is liye Hinglish spellings aur grammar ke liye main AI use karunga, par dev ke bot ko pata nahi chalega kyuki ye English nahi hai 😉

Parichay / Intro

Shuruat hum isse karenge ki Go kya hai aur uske fayde kya hain.

Pehle hum Wikipedia ki definition dekhte hain:

Wikipedia Definition of Go

To, Go ek aasan language hai.

  • Go compiled language hai, matlab ek bar compiler ko humne apna code diya to wo ek executable file dega jo sidha hum chala sakte hain bina kisi aur dependency ke, jaise ki Python ka interpreter.
  • Dusri high-level languages jaise Python ya JavaScript se Go tez chalta hai.
  • Garbage collected hai, yani C ki tarah hame memory ko manually manage karna nahi padega.

Go ka istemal kahan hota hai?

  • APIs aur Web Servers banane me
  • Network Programming aur Distributed Systems me
  • Cloud-Native Applications aur Microservices banane me
  • DevOps aur Infrastructure Automation me
  • Command Line (CLI) Tools banane me

Agar upar ki baatein abhi samajh na aayein, to koi baat nahi. Filhal itna samajh lijiye ki Go ka istemal bahut jagah hota hai to job ke liye kaam aayega.


To ye thi Go ki kahani, CSM ki zubani... (jo chalti rahegi!)

Aur haan, har post ke aakhir me meri ek shayari hogi, jo aapko guru dakshina ke roop me jhelni padegi! 😄

ख़यालों को बातों में उलझाए रखना ।
इस पल के हक़ीक़त को सुलझाए रखना ।
शिद्दत से चाहा जो मिल कर रहेगा ।
चेहरे पे मुस्कान थोड़ी बनाए रखना ।।

-csm

Top comments (4)

Collapse
 
technogamerz profile image
𝐓𝐡𝐞 𝐋𝐚𝐳𝐲 𝐆𝐢𝐫𝐥

Aapne kya samjhaya hai!🔥nice write up

Collapse
 
csm18 profile image
csm

Bahut bahut dhanyavaad!😊

Collapse
 
hemapriya_kanagala profile image
Hemapriya Kanagala

The Go tutorial was nice, but I wasn't expecting a shayari at the end 😄 That's a fun touch. Looking forward to the next post!

Collapse
 
csm18 profile image
csm

Thank you! 😊😊😊
I like shayari a lot. I thought if the post is in hindi then how can I miss shayari 😄