Keywords:
Keywords ka topic iss programming series ka sabse asaan topic hai. Keywords kafi hadd tak Syntax ke blog mein cover ho gaye hain. Lekin kuch important points reh gaye thay jinka batana zarori hai.
Sabse pehle dekhte hain ke akhir Keyword hai kya cheez. Har programming language mein kuch special lafz hain jo uske different processes or functionality ko identify karte hain.
For example:
if ( $age >= 18 )
{
echo "You can vote";
}
Iss example mein "if" aik keyword hain. Jab bhi hum kisi program mein "if" istemal karein gay, toh computer expect kare ga ke iske baad aik condition aaye gi jisko calculate karke faisla karna hai ke woh Sahi(True) hai ya Nahi(False).
Keywords ko hum Variable names mein use nahi kar sakte, kyunke iske computer confuse ho jata hai ke aap asal mein kaunsa kaam perform karna chahte hain.
Sab programming languages ke kuch Keywords same hain aur kuch different.
C Programming Language Keywords:
if, int, double, float, else, long, switch, static, while, for.
Java Programming Language Keywords:
if, int, new, abstract, else, this, super, static, while, for.
Umeed hai ke Keywords ke baray mein apka concept clear ho gaya hoga. Agar koi confusion hai ya aur explanation chahiye, toh aap mujhe apne sawal send kar sakte hain.
Top comments (0)